MOBILE KO UPDATE KAISE KARE

MOBILE KO UPDATE KAISE KARE.
By.Mohammad Usman

Hey friends, Aap sabhi ko pata hi hoga ki har chij ko update karne ki jarurat padti hai taki usme improvement aaye usi tarah Android ko bhi update karne ki jarurat padtihai taki hum apne phone mein new versionuse kar sake jo pichle version jyada achha aur behtar ho. Android update karne se hamein new features apne phone mein milte hai isliye har koi apne phone ko update karna chahta hai lekin logo ko pata nahi hota ki sahi tarika kya hota hai phone ko update karna ka. So friends aaj hum iss post mein yeh janenge ki phone update karne se pehle kaunsi savdhaniyaa apnani chahiye taki baad mein koi problem face na karni padeBahut se logo ko maine dekha hai jo ki apna phone direct update kar lete hai jisse ki unka phone kharab ho jata hai jaise ki thik se kaam nahi karta, brick ho jata hai, open nahi hota, touch kaam nahi karta, display kharab ho jata hai aur bhi isi tarah ki bahut si problems uhne face karni padti hai. Agar aap phone update karne se pehlekuch savdhaniya apnaye toh main yeh gurantee ke saath keh sakta hu ki aisi koi problem aapko face nahi karni padegi. Iss post mein maine woh saare important points bataaye hai jinhe agar aap apnao toh safely aapka mobile phone update ho jayega #Check For Update:Sabse pehle toh aapko yeh check karna hai ki aapke device ke liye update availablehai ya nahi. Agar aapko nahi pata ki yeh kaise check karte hai toh chinta ki koi baat nahi maine neeche 2 methods diye hai inme se koi ek try kare
Method 1:1) Apne mobile ke settings mein jaye
2) Sabse neeche ek option hoga About phone ka uspe click kare
3) Ab system update option pe click kare
4) Check for update option pe click kare
5) Agar update available hoga toh packagedownload karne ka option aayega
Method 2:1) Phone ka keypad mein jaye
2) Ab yeh code dial kare *#*#2432546#*#*
3) Agar update available hoga toh show hojayega kuch seconds baad aapke staus bar mein
How to Safely Update Android Phone:
1) Phone update karne se pehle ek baat ka dhyan rakhe ki aapne apna device at least 70% charge kar rakha hai. Agar aapka phone charge nahi hoga toh update ke dauran switch off hone ke chances jyada hai jiske wajah se update beech mein hi fail ho jayega aur aapka device bhi kharab ho sakta hai. Ek baat ka aur dhyan rakhe ki update karte time aapka device charging mein na laga ho nahi toh device burst bhi ho sakta hai
2) Update ke dauran ghabrane ki jarurat bilkul nahi hai kyuki device update hote time bahut baar reboot bhi ho sakta hai aise condition mein log sochte hai ki unka phone kharab ho gaya hai aur woh battery nikaal ke fir se usey phone mein daalte hai aur phone switch on karne ki kosish karte hai lekin mostly cases mein aisa karne pe device ka software corrupt ho jata aur woh mobile switch on nahi hota isliye friends aisa na hi kare toh behtar hoga
3) Wifi sabse accha tarika hai phone upgrade karne ka aisa main isliye keh raha hu kyuki jyadatar log apna data connectionuse karte hai. Aapke mann mein ab yeh question jarur aa raha hoga ki “data connection mein kya problem hai jo wifi use kare” ? So friends main aapko bata du ki data connection jyada trustable nahi hai kyuki mobile network kabhi bhi stable nahi hota hamesha kam jyada hota rehta hai aur aisa condition mein yeh bhi possible hai ki update ke beech mein hi data band ho jaye network na hone ke wajah se jiske kaaran pura upgrading process ruk jayega.Second reason yeh bhi hai ki agar aapka data pack limited hua aur upgrade ke beech mein hi data khatam jo jaayega toh pura upgrading process wahi ruk jayega aur phone switch of ho jayega
4) Phone ko upgrade karne se pehle uska full backup jarur banale nahi toh data loss bhi ho sakta hai. Sab apne mobile mein personal photos, videos etc. rakhte hai jinse unki kuch yaade bhi judi hoti hai aur woh nahi chahte ki unke phone se yeh delete ho. So friends mobile upgrade hote time data loss ka bhi khatra bana rehta hai isliye apne mobile ka full backup banake kahi store karle taaki baad mein upgrade hone ke baad usey restore kar sake
5) Ab time hai device ko factory reset karneka taaki upgrade ke dauran mobile mein koi gadbadi na ho. Factory reset aap bahutaasani se kar sakte ho iske liye sabse pehle settings mein jaye aur backup & reset pe click kare wahi pe factory reset ka option hoga uspe click karke aap factory reset kar sakte ho

To Dosto Kaisi lagi meri batayi hui article.
Aur bhi Jankari Lene ke liye Subscribe to Post
Par click kare

Agar koi preshani ho to comment me pooch sakte ho

Share:

No comments:

Post a Comment

Popular Posts

Labels

Blog Archive

Recent Posts

Text Widget

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Ut enim ad minim veniam, quis nostrud exercitation test link ullamco laboris nisi ut aliquip ex ea commodo consequat.