Facebook kya h

Facebook kya h
Ekisvi (21th) sadi mai sanchar sirf ek goli ki raftar se bhagta ghoda nahi reh gaya, balki ab hum ye keh sakte hai ki internet ke aane se sanchar prakash ki gati se chalta hai. Internet hame ek doorse sai turant connect karne ki shamta deta raha hai, or iski kalpana to wo bhi nahi kar sakte the jinhone internet ka avishkar kia tha.Internet ki sabse bhadia baat ye hai ki internet par badiya cheeze hume free mai uplabdh hai. Jaise ki Facebook, e-mail, Twitter, YouTube or pata nahi kitnesare tools. Insaan samajte hai or hum logo ko naturally group mai rehna pasand hai, aur jab internetaya to hum logo ne internet par bhi group banane shuru kar diye.Inhi groups ko hum social networks kehte hai. Internet par lakho Social Networks hai jinme se sabse famous hai
Facebook ek social network hai jo logo ko ek doosre se jodne mai help karta hai, aap facebook ke dwara apne dosto, rishtedaro se hamesha sampark mai reh sakte hai.Facebook ne hamesha se hi asli dunia ko digital dunia mai banane ki hai or wo isme kafi had tak safal bhi ho paye hai.
*.Facebook free hai or koi bhi facebook par jakar apna account bana saktahai.
*.Facebook par har second5 nai profiles banti hai, aur 2015 mai 144 crore log monthly Facebook par active rehte hai, joki ki bohot teji se badh rahehaiAb aapme se kayi log jo ki purani soch rakte Hai “ki Facebook jaisi cheeze hamari zindagi par negative effect daal rahi hai.” Par mera manna ye hai ki jo log esa kehte hai wo log badlav se darte hai.Technology hamari life ki quality ko sudharti hai jabtak ham uspar kaboo rakh ke chale, naa ki technology humko kaboo mai lele. Apne kabhi kisi kodekha hoga jo ki abhi bhi mobile chod kar ghar par landline ka use karte hai, kya apko lagta hai ese log kabhi bhi jindagi mai aage nikal payenge. Haa hum yekeh sakte hai ki wo log utne mai hi kush hai, par agar apko life mai age badhna hai to apko technology ki help leni hi padegi.Facebook ke fayade
*.Aap apne poorane dost jinse apka school ya college ke baad milna nahi ho paya, aap unse facebook par jud sakte Hai. Kyoki Facebook par India ki poori aabadi se jada log hai to, sambhawana hai ki apka dost bhi facebook par apko mil jaega
*.Aap apne jaisi soch rakhne walo se jud sakte hai. Ye baat to manni pade gi ki agar hum apnejaisi soch rakhne walo kesath rahe to hum khush (HAPPY) rehte hai or jadaacha perform karte hai, par dikkat ye hai ki humare aas pas hamari jaisi soch rakhne wale bohot hi kam log milte hai. Facebook ka ek feature hai groups , Group ek online samuh kitarha hai jaha ek si soch rakhne wale log aapas mai apne vichar share karte hai. Aap inhi group mai bhaag (join) le kar apne dost bana sakte hai.
*.Free video aur Audio calls: Facebook apko free Video aur Audio calls karne ki suvidha deta hai, bas apko thoda sa acho or bharosemand internet connection ki jaroorat hai. Is Facebook ke feature nai India ke telecom (Idea, Airtel, etc.)ko apna bhavisya ke bareme aye tareeke se sochne me majboor kardia hai.Humne Facebook ke bare mai kafi bate karli, par kya apko pata hai ki
Facebook ko banaya kisne Hai?

Mark Zuckerbergjo ki Harvard University
ke student thy. Unhone apne college ke dosto ke sath milkar Facebook ko shuru kia tha. Wo bhi apki tarha ek technology mai ruchi (interest) rakhne wala student tha. Facebook itna famous hua ki Mark dunia ko sabsi choti umar ka sabse Amir purush ban gaya (Hum baad me uspar bhi charcha karege ki Facebook paise kese kamata hai).23 saal ki umar mai Mark kharabpati bangaya tha, India mai iss umar mai jadatar logo ko ye bhi nahi pata hota ki life mai karna kya Hai. Mai ye nahi kehra ki aap Facebook jaisa kuchbana nahi sakte, aap jaroorbana sakte hai – bas mai ye kehra hun ki “Milta usi ko hai jo uske layak hota hai”. Kya aap uske layak hai? Kya aap bhi apne lakshya ko paane ke liye din raat mehnat karte hai?Ya aap bhi ek aam admi ki tarha din ke 2-3 hours TV dekhne mai ya Mobile par games khelne mai waste karte hai? or agar karte hai to app bhi apni life mai ek aam aadmi bankar reh jaege.
Mera iss Website ko lekar ye irada nahi hai ki mai kahi logo ki tarha faltu ki bakwaas likh ke aapka time waste karu. Mera goalye hai ki mai app logo ko kuch esi knowledge du jisse ki aapko life mai aagebadne mai help mile. Or agar aap me se ek ko bhi life mai aage badne mai help kar saku to mera uddeshya poora ho jata hai.Thank You apna keemti samya is article ko dene keliye. Apne suggestions neeche diye gaye comment box mai dale, jisse ki main aapko jaan saku or apne agle Article ko aapke hissab se likh saku.

TO DOSTO KAISE LAGA.
PLEASE HAME SUBSCRIBE KARE

Share:

No comments:

Post a Comment

Popular Posts

Labels

Recent Posts

Text Widget

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Ut enim ad minim veniam, quis nostrud exercitation test link ullamco laboris nisi ut aliquip ex ea commodo consequat.